zamana meri tabahi pe jo udas hua
zamāna merī tabāhī pe jo udaas huā
maiñ apne aap se ai dost rū-shanās huā
mire ḳhulūs ke phūloñ se jo uḌī ḳhushbū
tumhāre tanz kā mausam bhī bad-havās huā
jamāl-e-sehn-e-gulistāñ hamīñ se qaa.em hai
hamāre ḳhuun se har phuul ḳhush-libās huā
akelā peḌ hī mausam kā vaar sahtā rahā
shikasta-barg bhī koī na ās-pās huā
kabhī jo TuuTā sitāra kisī ko aayā nazar
to bazm-e-ġhair meñ merā hī zikr-e-ḳhās huā
safīr-e-sub.h-e-daraḳhshāñ chalā jo mashriq se
dayār-e-shab kā shahanshāh bad-havās huā
zamana meri tabahi pe jo udas hua
main apne aap se ai dost ru-shanas hua
mere KHulus ke phulon se jo uDi KHushbu
tumhaare tanz ka mausam bhi bad-hawas hua
jamal-e-sehn-e-gulistan hamin se qaem hai
hamare KHun se har phul KHush-libas hua
akela peD hi mausam ka war sahta raha
shikasta-barg bhi koi na aas-pas hua
kabhi jo TuTa sitara kisi ko aaya nazar
to bazm-e-ghair mein mera hi zikr-e-KHas hua
safir-e-subh-e-daraKHshan chala jo mashriq se
dayar-e-shab ka shahanshah bad-hawas hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.