zamana mubtala kya kya qayas-araiyon mein hai
zamāna mubtalā kyā kyā qayās-ārā.iyoñ meñ hai
karam un kā bhī kuchh shāmil mirī rusvā.iyoñ meñ hai
na jaane kitnī yādeñ dil ko bahlātī haiñ aa aa kar
nashāt-e-zindagī hāsil mujhe tanhā.iyoñ meñ hai
girāñ-ḳhvābī ke aalam hī meñ guzregā har ik lamha
taġhayyur hī taġhayyur vaqt kī añgḌā.iyoñ meñ hai
hai pinhāñ kis qadar nudrat taḳhayyul kī bulandī meñ
garāñ-māya dafīna fikr kī gahrā.iyoñ meñ hai
suḳhan-parvar jo ho koī mile dād-e-suḳhan 'ahmad'
hamārī kāmrānī hausla-afzāiyoñ meñ hai
zamana mubtala kya kya qayas-araiyon mein hai
karam un ka bhi kuchh shamil meri ruswaiyon mein hai
na jaane kitni yaaden dil ko bahlati hain aa aa kar
nashat-e-zindagi hasil mujhe tanhaiyon mein hai
giran-KHwabi ke aalam hi mein guzrega har ek lamha
taghayyur hi taghayyur waqt ki angDaiyon mein hai
hai pinhan kis qadar nudrat taKHayyul ki bulandi mein
garan-maya dafina fikr ki gahraiyon mein hai
suKHan-parwar jo ho koi mile dad-e-suKHan 'ahmad'
hamari kaamrani hausla-afzaiyon mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.