zamana surat-e-diwar kyon hai
zamāna sūrat-e-dīvār kyoñ hai
ye ḳhāmoshī sar-e-bāzār kyoñ hai
idhar kuchh roz se hāthoñ meñ apne
bajā.e shāḳh-e-gul talvār kyoñ hai
yahāñ har rāsta hai saaf sīdhā
magar har shaḳhs kaj-raftār kyoñ hai
jo bastī chain se sotī thī shab bhar
vo bastī ḳhauf se do-chār kyoñ hai
batāo bik ga.e tum bhī 'nazar' kyā
muqaffal ab lab-e-iz.hār kyoñ hai
zamana surat-e-diwar kyon hai
ye KHamoshi sar-e-bazar kyon hai
idhar kuchh roz se hathon mein apne
bajae shaKH-e-gul talwar kyon hai
yahan har rasta hai saf sidha
magar har shaKHs kaj-raftar kyon hai
jo basti chain se soti thi shab bhar
wo basti KHauf se do-chaar kyon hai
batao bik gae tum bhi 'nazar' kya
muqaffal ab lab-e-izhaar kyon hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.