zamane bhar ka jo sara dukh hai hamara dukh hai
zamāne bhar kā jo saarā dukh hai hamārā dukh hai
yaqīñ karo jo tumhārā dukh hai hamārā dukh hai
ye saarī duniyā hamāre dukh se bharī paḌī hai
ye chāñd sūraj sitāra dukh hai hamārā dukh hai
tumhārī nisbat se hī jo mujh ko milā huā hai
ye hijr bhī kitnā pyārā dukh hai hamārā dukh hai
ye duniyā goyā hai ek building pe kaam jaarī
hai us meñ shāmil jo gaarā dukh hai hamārā dukh hai
dukhoñ kā koī bhī isti.āra nahīñ hai mumkin
dukhoñ kā har isti.āra dukh hai hamārā dukh hai
hamārī duniyā hai ek dariyā ke jaisī 'ājiz'
vo jis kā har ik kinārā dukh hai hamārā dukh hai
zamane bhar ka jo sara dukh hai hamara dukh hai
yaqin karo jo tumhaara dukh hai hamara dukh hai
ye sari duniya hamare dukh se bhari paDi hai
ye chand suraj sitara dukh hai hamara dukh hai
tumhaari nisbat se hi jo mujh ko mila hua hai
ye hijr bhi kitna pyara dukh hai hamara dukh hai
ye duniya goya hai ek building pe kaam jari
hai us mein shamil jo gara dukh hai hamara dukh hai
dukhon ka koi bhi istiara nahin hai mumkin
dukhon ka har istiara dukh hai hamara dukh hai
hamari duniya hai ek dariya ke jaisi 'ajiz'
wo jis ka har ek kinara dukh hai hamara dukh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.