zamane ke hamein dastur apnane bhi hote hain
zamāne ke hameñ dastūr apnāne bhī hote haiñ
masā.il hoñ agar uljhe to suljhāne bhī hote haiñ
ḳhushī miltī hai jin ko un ko ġham paane bhī hote haiñ
jo paate haiñ uruuj un par zavāl aane bhī hote haiñ
ġhazal-goī se ham bhī rabt rakhte haiñ isī baa.is
kabhī dil dostoñ ke ham ko bahlāne bhī hote haiñ
hamārī izzat-o-nāmūs ke jo log haiñ ḳhvāhāñ
unhīñ logoñ meñ shāmil dost dīvāne bhī hote haiñ
panāheñ de ke jin kī zindagī ham ne bachā.ī hai
kabhī un bāġhiyoñ par sang barsāne bhī hote haiñ
matā-e-husn se allāh ne jin ko navāzā hai
unhīñ ke vāste kuchh log dīvāne bhī hote haiñ
shumār un kā ḳhudā ke naam se karte raho 'ahmar'
kamāl-e-bandagī tasbīh ke daane bhī hote haiñ
zamane ke hamein dastur apnane bhi hote hain
masail hon agar uljhe to suljhane bhi hote hain
KHushi milti hai jin ko un ko gham pane bhi hote hain
jo pate hain uruj un par zawal aane bhi hote hain
ghazal-goi se hum bhi rabt rakhte hain isi bais
kabhi dil doston ke hum ko bahlane bhi hote hain
hamari izzat-o-namus ke jo log hain KHwahan
unhin logon mein shamil dost diwane bhi hote hain
panahen de ke jin ki zindagi hum ne bachai hai
kabhi un baghiyon par sang barsane bhi hote hain
mata-e-husn se allah ne jin ko nawaza hai
unhin ke waste kuchh log diwane bhi hote hain
shumar un ka KHuda ke nam se karte raho 'ahmar'
kamal-e-bandagi tasbih ke dane bhi hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.