zamane ki fasilon ko gira kar
zamāne kī fasīloñ ko girā kar
kabhī dekheñge ḳhud ko aazmā kar
mire dil par bhī nāzil ho sakīnat
mire murshid mire haq meñ duā kar
tumhārī raah ko raushan kiyā hai
charāġh-e-jān ko maiñ ne jalā kar
kisī din ham tumhārī ḳhāk-dāñ ko
chale jā.eñge ik Thokar lagā kar
tumhārā rāsta hamvār kar duuñ
maiñ apnī zaat kā patthar haTā kar
falak ke paar mujh ko dekhnā hai
sitāroñ se bharī chādar haTā kar
akele baiTh ke rote rahe ham
tumhārī yaad meñ duniyā bhulā kar
khulī āñkhoñ meñ sapne dekhtī huuñ
ḳhud apnī niiñd kā panchhī uḌā kar
zamane ki fasilon ko gira kar
kabhi dekhenge KHud ko aazma kar
mere dil par bhi nazil ho sakinat
mere murshid mere haq mein dua kar
tumhaari rah ko raushan kiya hai
charagh-e-jaan ko main ne jala kar
kisi din hum tumhaari KHak-dan ko
chale jaenge ek Thokar laga kar
tumhaara rasta hamwar kar dun
main apni zat ka patthar haTa kar
falak ke par mujh ko dekhna hai
sitaron se bhari chadar haTa kar
akele baiTh ke rote rahe hum
tumhaari yaad mein duniya bhula kar
khuli aankhon mein sapne dekhti hun
KHud apni nind ka panchhi uDa kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.