zamane ki inayat chahta hun
zamāne kī ināyat chāhtā huuñ
maiñ thoḌī sī mohabbat chāhtā huuñ
mirī kashtī to Dūbegī yaqīnan
nadī kī bhī nadāmat chāhtā huuñ
tire dariyā tujhe lauTā diye haiñ
samundar huuñ maiñ rāhat chāhtā huuñ
mujhe to zahr piinā hī paḌegā
magar terī rifāqat chāhtā huuñ
maiñ aasī huuñ magar terī ināyat
ḳhudā maiñ tā-qayāmat chāhtā huuñ
har ik sachchā.ī us se kah sakūñ maiñ
zabāñ meñ itnī himmat chāhtā huuñ
mirī rag rag meñ aur sāñsoñ meñ yā-rab
utar jaa.e sharī.at chāhtā huuñ
zamane ki inayat chahta hun
main thoDi si mohabbat chahta hun
meri kashti to Dubegi yaqinan
nadi ki bhi nadamat chahta hun
tere dariya tujhe lauTa diye hain
samundar hun main rahat chahta hun
mujhe to zahr pina hi paDega
magar teri rifaqat chahta hun
main aasi hun magar teri inayat
KHuda main ta-qayamat chahta hun
har ek sachchai us se kah sakun main
zaban mein itni himmat chahta hun
meri rag rag mein aur sanson mein ya-rab
utar jae shariat chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.