zamane ko KHud se na anjaan rakh
zamāne ko ḳhud se na anjān rakh
koī munfarid apnī pahchān rakh
mahak jaa.e ḳhushbū se saarā jahāñ
sajā kar mohabbat kā gul-dān rakh
jo hai kāmyābī kī chāhat tujhe
nazar apnī manzil pe har aan rakh
tirā kyā bigāḌegā zālim jahāñ
tū himmat kī siine meñ chaTTān rakh
rag-e-jāñ hai biivī agarche tirī
tū māñ-bāp kā bhī magar dhyān rakh
dikhā.egā tujh ko ḳhudā ek din
madīne kā dil meñ tū armān rakh
phir ehsās hogā tujhe 'dard' kā
dar-e-dil pe ḳhūñ-rang darbān rakh
zamane ko KHud se na anjaan rakh
koi munfarid apni pahchan rakh
mahak jae KHushbu se sara jahan
saja kar mohabbat ka gul-dan rakh
jo hai kaamyabi ki chahat tujhe
nazar apni manzil pe har aan rakh
tera kya bigaDega zalim jahan
tu himmat ki sine mein chaTTan rakh
rag-e-jaan hai biwi agarche teri
tu man-bap ka bhi magar dhyan rakh
dikhaega tujh ko KHuda ek din
madine ka dil mein tu arman rakh
phir ehsas hoga tujhe 'dard' ka
dar-e-dil pe KHun-rang darban rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.