Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zamane ko sahi rahen dikhati ungliyan dekho

Shubha Shukla Mishra adhar

zamane ko sahi rahen dikhati ungliyan dekho

Shubha Shukla Mishra adhar

MORE BYShubha Shukla Mishra adhar

    zamāne ko sahī rāheñ dikhātī uñgliyāñ dekho

    sabhī ḳhāmiyāñ khul kar ginātī uñgliyāñ dekho

    uThātī haiñ girātī haiñ yahī dīvār apnoñ maiñ

    ḳhushī chhūkar hañsī to ġham chhupātī uñgliyāñ dekho

    adhūre chitr meñ puurī kahānī zindagānī

    liye nau tūlika kab se sajātī uñgliyāñ dekho

    kahīñ sambandh koī khā na leñ sandeh bāteñ

    tabhī be-ḳhauf ho kar sach batātī uñgliyāñ dekho

    adhar par bāñsurī le priit sansār rachtī hai

    kabhī girdhar kabhī mohan banātī uñgliyāñ dekho

    zamane ko sahi rahen dikhati ungliyan dekho

    sabhi ki KHamiyan khul kar ginati ungliyan dekho

    uThati hain giraati hain yahi diwar apnon main

    KHushi chhukar hansi to gham chhupati ungliyan dekho

    adhure chitr mein puri kahani zindagani ki

    liye nau tulika kab se sajati ungliyan dekho

    kahin sambandh koi kha na len sandeh ki baaten

    tabhi be-KHauf ho kar sach batati ungliyan dekho

    adhar par bansuri le prit ka sansar rachti hai

    kabhi girdhar kabhi mohan banati ungliyan dekho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now