zamane ko zamane ki paDi hai
zamāne ko zamāne kī paḌī hai
hameñ va.ada nibhāne kī paḌī hai
ye duniyā chāñd par pahuñchī huī hai
tujhe lahore jaane kī paḌī hai
zarā dekho idhar maiñ jal rahā huuñ
tumheñ aañsū chhupāne kī paḌī hai
fasāna hī haqīqat ban gayā hai
haqīqat ko fasāne kī paḌī hai
abhī jo sher likkhā bhī nahīñ hai
abhī se vo sunāne kī paḌī hai
tire mehmān vāpas jā rahe haiñ
tujhe mehmān-ḳhāne kī paḌī hai
vo tere dil meñ aa baiThā hai 'momin'
tujhe dīvār Dhāne kī paḌī hai
zamane ko zamane ki paDi hai
hamein wada nibhane ki paDi hai
ye duniya chand par pahunchi hui hai
tujhe lahore jaane ki paDi hai
zara dekho idhar main jal raha hun
tumhein aansu chhupane ki paDi hai
fasana hi haqiqat ban gaya hai
haqiqat ko fasane ki paDi hai
abhi jo sher likkha bhi nahin hai
abhi se wo sunane ki paDi hai
tere mehman wapas ja rahe hain
tujhe mehman-KHane ki paDi hai
wo tere dil mein aa baiTha hai 'momin'
tujhe diwar Dhane ki paDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.