zamane ko zer-o-zabar kar diya
zamāne ko zer-o-zabar kar diyā
ye kyā tū ne ai chashm-e-tar kar diyā
lagā rakhnā qātil ke shāyāñ nahīñ
idhar kar diyā yā udhar kar diyā
kiyā aur bhī mere qāsid ne shoḳh
jo us ko mirā nāma-bar kar diyā
sabā ne lagā.ī kahāñ kī kahāñ
idhar aah kī vaañ ḳhabar kar diyā
ḳhalish nok-e-mizhgāñ kī kuchh kam na thī
baḌhā kar use neshtar kar diyā
mirī sham-e-ummīd gul ho ga.ī
sitam tū ne bād-e-sahar kar diyā
thapak kar sulāyā mujhe bār-bār
maiñ thā bā-ḳhabar be-ḳhabar kar diyā
vafā.eñ hamārī akārat ga.iiñ
raqīboñ ko jaam us ne bhar kar diyā
jo muddat se thī jī meñ ab Than ga.ī
dil-e-pur-ḳhatar be-ḳhatar kar diyā
jidhar terā tīr-e-nazar chal gayā
idhar maiñ ne nazr ik jigar kar diyā
nazar mujh se qātil churā jā.egā
agar maiñ ne sīna-sipar kar diyā
tumhārī ḳhamoshī ne us ko 'fahīm'
sitamgār se fitna-gar kar diyā
zamane ko zer-o-zabar kar diya
ye kya tu ne ai chashm-e-tar kar diya
laga rakhna qatil ke shayan nahin
idhar kar diya ya udhar kar diya
kiya aur bhi mere qasid ne shoKH
jo us ko mera nama-bar kar diya
saba ne lagai kahan ki kahan
idhar aah ki wan KHabar kar diya
KHalish nok-e-mizhgan ki kuchh kam na thi
baDha kar use neshtar kar diya
meri sham-e-ummid gul ho gai
sitam tu ne baad-e-sahar kar diya
thapak kar sulaya mujhe bar-bar
main tha ba-KHabar be-KHabar kar diya
wafaen hamari akarat gain
raqibon ko jam us ne bhar kar diya
jo muddat se thi ji mein ab Than gai
dil-e-pur-KHatar be-KHatar kar diya
jidhar tera tir-e-nazar chal gaya
idhar main ne nazr ek jigar kar diya
nazar mujh se qatil chura jaega
agar main ne sina-sipar kar diya
tumhaari KHamoshi ne us ko 'fahim'
sitamgar se fitna-gar kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.