zamane mein mohabbat ki agar barish nahin hoti
zamāne meñ mohabbat kī agar bārish nahīñ hotī
kisī insān ko insān kī ḳhvāhish nahīñ hotī
hazāroñ ranj-o-ġham kaise vo apne dil meñ rakhte haiñ
ki jin ke dil meñ thoḌī sī bhī gunjā.ish nahīñ hotī
ham apnī jaan de kar dostī kā haq nibhā dete
zamāne kī agar is meñ koī sāzish nahīñ hotī
tumhāre paañv to do-gām chal kar laḌkhaḌāte haiñ
hamāre azm-e-mohkam meñ kabhī laġhzish nahīñ hotī
tumhārī hī mohabbat kā sila hai ye ġhazal 'ārif'
laboñ ko sher kahne kī kabhī jumbish nahīñ hotī
zamane mein mohabbat ki agar barish nahin hoti
kisi insan ko insan ki KHwahish nahin hoti
hazaron ranj-o-gham kaise wo apne dil mein rakhte hain
ki jin ke dil mein thoDi si bhi gunjaish nahin hoti
hum apni jaan de kar dosti ka haq nibha dete
zamane ki agar is mein koi sazish nahin hoti
tumhaare panw to do-gam chal kar laDkhaDate hain
hamare azm-e-mohkam mein kabhi laghzish nahin hoti
tumhaari hi mohabbat ka sila hai ye ghazal 'arif'
labon ko sher kahne ki kabhi jumbish nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.