zamane ne arman nikale bahut hain
zamāne ne armāñ nikāle bahut haiñ
mirī samt patthar uchhāle bahut haiñ
anā kā ye byopār mujh se na hogā
mujhe apne sūkhe nivāle bahut haiñ
abhī apnī taqdīr ḳhud likh rahā huuñ
nahīñ ġham jo hāthoñ meñ chhāle bahut haiñ
shikāyat to ġhairoñ se karnā abas hai
hamāre hī zehnoñ meñ jaale bahut haiñ
dikhāte haiñ dekho magarmachh ke aañsū
diloñ ke magar log kaale bahut haiñ
mujhe hijr ke in añdheroñ kā ġham kyā
tirī yaad ke ye ujāle bahut haiñ
sañbhal kar hī rahiye zarā un se 'sābir'
jahāñ meñ ulaT-pher vaale bahut haiñ
zamane ne arman nikale bahut hain
meri samt patthar uchhaale bahut hain
ana ka ye byopar mujh se na hoga
mujhe apne sukhe niwale bahut hain
abhi apni taqdir KHud likh raha hun
nahin gham jo hathon mein chhaale bahut hain
shikayat to ghairon se karna abas hai
hamare hi zehnon mein jale bahut hain
dikhate hain dekho magarmachh ke aansu
dilon ke magar log kale bahut hain
mujhe hijr ke in andheron ka gham kya
teri yaad ke ye ujale bahut hain
sanbhal kar hi rahiye zara un se 'sabir'
jahan mein ulaT-pher wale bahut hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.