zamane pe gahri nazar karte karte
zamāne pe gahrī nazar karte karte
maiñ thak bhī chukī huuñ safar karte karte
bahut der kar dī mire mehrbāñ ne
ināyat kī mujh pe nazar karte karte
ka.ī mushkileñ ā.eñgī rāste meñ
ye qāsid ko merī ḳhabar karte karte
duā.eñ mirī kārgar hoñgī āḳhir
magar chāhiye vaqt asar karte karte
zarā soch lenā 'robīna' ye dil meñ
tabī.at ko zer-o-zabar karte karte
zamane pe gahri nazar karte karte
main thak bhi chuki hun safar karte karte
bahut der kar di mere mehrban ne
inayat ki mujh pe nazar karte karte
kai mushkilen aaengi raste mein
ye qasid ko meri KHabar karte karte
duaen meri kargar hongi aaKHir
magar chahiye waqt asar karte karte
zara soch lena 'robina' ye dil mein
tabiat ko zer-o-zabar karte karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.