zamin aur aasman hone se pahle
zamīñ aur āsmāñ hone se pahle
yahāñ kyā thā jahāñ hone se pahle
yahāñ huuñ maiñ vahāñ hone se pahle
kahāñ thā maiñ yahāñ hone se pahle
tumhārī be-ruḳhī kā lutf leñge
tumhāre mehrbāñ hone se pahle
amīr-e-kārvāñ banñe kī zid hai
sharīk-e-kārvāñ hone se pahle
parindoñ par na taano us ko logo
ye Tahnī hai kamāñ hone se pahle
chhupī thī dūriyāñ nazdīkiyoñ meñ
hamāre darmiyāñ hone se pahle
namāz-e-ishq paḌhnā hai zarūrī
chale aao azaañ hone se pahle
sadā.eñ koī to sun le hamārī
hamāre be-zabāñ hone se pahle
maiñ qatra kah ke us ko chheḌtā thā
samundar ko javāñ hone se pahle
chhupe the zabt-e-ġham kī vādiyoñ meñ
mire aañsū ayaañ hone se pahle
chhupā.eñ kis tarah se raaz apne
kisī ke rāzdāñ hone se pahle
zamin aur aasman hone se pahle
yahan kya tha jahan hone se pahle
yahan hun main wahan hone se pahle
kahan tha main yahan hone se pahle
tumhaari be-ruKHi ka lutf lenge
tumhaare mehrban hone se pahle
amir-e-karwan banne ki zid hai
sharik-e-karwan hone se pahle
parindon par na tano us ko logo
ye Tahni hai kaman hone se pahle
chhupi thi duriyan nazdikiyon mein
hamare darmiyan hone se pahle
namaz-e-ishq paDhna hai zaruri
chale aao azan hone se pahle
sadaen koi to sun le hamari
hamare be-zaban hone se pahle
main qatra kah ke us ko chheDta tha
samundar ko jawan hone se pahle
chhupe the zabt-e-gham ki wadiyon mein
mere aansu ayan hone se pahle
chhupaen kis tarah se raaz apne
kisi ke raazdan hone se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.