zamin bain kare aasman bain kare
zamīn bain kare āsmān bain kare
kisī ke ranj meñ saarā jahān bain kare
ḳhudāyā ḳhair ho ab ke qur.ān bain kare
namāz chīḳh ke ro.e azaan bain kare
tū mere saath to hai par tirī judā.ī kā
yaqīn sog manā.e gumān bain kare
na chaah kar bhī jo shāmil hai qatl meñ tere
vo tiir piiTe sar apnā kamān bain kare
dahan se nikle mire vahshat-o-pareshānī
maiñ bad-shugūn huuñ merī zabān bain kare
har ek samt se hai 'hijr' girya-o-zārī
makīn aañkh bahā.e makān bain kare
zamin bain kare aasman bain kare
kisi ke ranj mein sara jahan bain kare
KHudaya KHair ho ab ke quran bain kare
namaz chiKH ke roe azan bain kare
tu mere sath to hai par teri judai ka
yaqin sog manae guman bain kare
na chah kar bhi jo shamil hai qatl mein tere
wo tir piTe sar apna kaman bain kare
dahan se nikle mere wahshat-o-pareshani
main bad-shugun hun meri zaban bain kare
har ek samt se hai 'hijr' girya-o-zari
makin aankh bahae makan bain kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.