zamin banai nae zawiye banane paDe
zamīñ banā.ī na.e zāviye banāne paḌe
kahīñ pe qaus kahīñ dā.ere banāne paḌe
kahīñ thī raushnī matlūb aur kahīñ raunaq
kahīñ charāġh kahīñ qumqume banāne paḌe
vo ik safar jo hameñ zindagī kī shakl milā
us ik safar ke ka.ī marhale banāne paḌe
farāġhatoñ meñ yahāñ aur kuchh na ban paayā
sitam banāne paḌe mas.ale banāne paḌe
na.ī havāoñ se laḌne ke vāste 'azbar'
hameñ charāġh na.e taur ke banāne paḌe
zamin banai nae zawiye banane paDe
kahin pe qaus kahin daere banane paDe
kahin thi raushni matlub aur kahin raunaq
kahin charagh kahin qumqume banane paDe
wo ek safar jo hamein zindagi ki shakl mila
us ek safar ke kai marhale banane paDe
faraghaton mein yahan aur kuchh na ban paya
sitam banane paDe masale banane paDe
nai hawaon se laDne ke waste 'azbar'
hamein charagh nae taur ke banane paDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.