zamin chillai chiKHi bilbila ke
zamīñ chillā.ī chīḳhī bilbilā ke
na joñ tak reñgī kānoñ par ḳhudā ke
maiñ tere qahr ke sadqe ḳhudāyā
adhūre rah ga.e jumle duā ke
kurede raakh DhūñDe ḳhaak koī
sabhī nāpaid hai jab jal jalā ke
tamannā aarzū armān hasrat
parinde uḌ ga.e par phaḌphaḌā ke
paḌī hai zindagī Dhāñpe lapeTe
fanā dauḌe phire hai dandanā ke
phaTā mujh meñ phaTā ātish-fishāñ phir
haiñ siine meñ dhamākoñ par dhamāke
zamin chillai chiKHi bilbila ke
na jon tak rengi kanon par KHuda ke
main tere qahr ke sadqe KHudaya
adhure rah gae jumle dua ke
kurede rakh DhunDe KHak koi
sabhi napaid hai jab jal jala ke
tamanna aarzu arman hasrat
parinde uD gae par phaDphaDa ke
paDi hai zindagi Dhanpe lapeTe
fana dauDe phire hai dandana ke
phaTa mujh mein phaTa aatish-fishan phir
hain sine mein dhamakon par dhamake
- Book : Istifsaar (Pg. 35)
- Author : Sheen Kaaf Nizam, Aadil Raza Mansoori
- Publication : Aadil Raza Mansoori (Issue No. 1, Oct To Dec. 2013)
- Edition : Issue No. 1, Oct To Dec. 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.