zamin-e-chashm-e-nam mein hum ko tera KHwab bona tha
zamīn-e-chashm-e-nam meñ ham ko terā ḳhvāb bonā thā
tirī har yaad kā motī to palkoñ meñ pironā thā
milan ke mausamoñ meñ jaane kyuuñ maiñ bhuul baiThī thī
tujhe bhī shahr kī is bhiiḌ meñ ai dost khonā thā
faqat apne ḳhayāloñ se na bāñdho yuuñ mire dilbar
kabhī dete rihā.ī mujh ko bhī kuchh der sonā thā
girā hai to ka.ī TukḌoñ meñ vo bikhrā paḌā hogā
tumhāre nam se hāthoñ meñ jo shīshe kā khilaunā thā
na jaane vaqt ne kyuuñ fāsle ye de diye varna
tumhī to mere jaise the tumheñ to merā honā thā
zamin-e-chashm-e-nam mein hum ko tera KHwab bona tha
teri har yaad ka moti to palkon mein pirona tha
milan ke mausamon mein jaane kyun main bhul baiThi thi
tujhe bhi shahr ki is bhiD mein ai dost khona tha
faqat apne KHayalon se na bandho yun mere dilbar
kabhi dete rihai mujh ko bhi kuchh der sona tha
gira hai to kai TukDon mein wo bikhra paDa hoga
tumhaare nam se hathon mein jo shishe ka khilauna tha
na jaane waqt ne kyun fasle ye de diye warna
tumhi to mere jaise the tumhein to mera hona tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.