zamin ke hath mein hun aur na aasman ke hi
zamīñ ke haath meñ huuñ aur na āsmān ke hī
paḌā huā huuñ maiñ aisī jagah pe jaan ke hī
na ham se kahte haiñ kuchh aur na ham se sunte haiñ
ye aadmī haiñ kisī dūsre jahān ke hī
tire jahān ke jhagḌoñ meñ haath kyuuñ Dāloñ
mujhe bahut haiñ bakheḌe mire makān ke hī
sunā rahī hai jise joḌ joḌ kar duniyā
tamām TukḌe haiñ vo merī dāstān ke hī
tire falak pe hai kyā aur bhī koī raushan
chamak rahe haiñ sitāre to ḳhāk-dān ke hī
hameñ jo maan rahe haiñ zabāñ se bhī apnī
is intihā pe vo aa.e haiñ dil se maan ke hī
kisī se koī nahīñ bāz-purs duniyā meñ
zamāna pīchhe paḌā hai hamārī jaan ke hī
to kyā tujhe bhī koī aur kaam baaqī nahīñ
jo ham pe rahne lage din ye imtihān ke hī
magar ye qatl kī sāzish kahāñ se aa niklī
vo ḳhat vo log to the mere ḳhāndān ke hī
so band karnā paḌā mujh ko kārobār-e-hayāt
vo aa ke baiTh gayā sāmne dukān ke hī
zamin ke hath mein hun aur na aasman ke hi
paDa hua hun main aisi jagah pe jaan ke hi
na hum se kahte hain kuchh aur na hum se sunte hain
ye aadmi hain kisi dusre jahan ke hi
tere jahan ke jhagDon mein hath kyun Dalon
mujhe bahut hain bakheDe mere makan ke hi
suna rahi hai jise joD joD kar duniya
tamam TukDe hain wo meri dastan ke hi
tere falak pe hai kya aur bhi koi raushan
chamak rahe hain sitare to KHak-dan ke hi
hamein jo man rahe hain zaban se bhi apni
is intiha pe wo aae hain dil se man ke hi
kisi se koi nahin baz-purs duniya mein
zamana pichhe paDa hai hamari jaan ke hi
to kya tujhe bhi koi aur kaam baqi nahin
jo hum pe rahne lage din ye imtihan ke hi
magar ye qatl ki sazish kahan se aa nikli
wo KHat wo log to the mere KHandan ke hi
so band karna paDa mujh ko karobar-e-hayat
wo aa ke baiTh gaya samne dukan ke hi
- Book : Pakistani Adab (Pg. 451)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.