zamin ke zarre zarre nala-o-fariyaad karte hain
zamīñ ke zarre zarre nāla-o-fariyād karte haiñ
chale aao dar-o-dīvār tum ko yaad karte haiñ
mazā aatā hai kuchh un ko hamārā dil dukhāne meñ
kabhī ham naala karte haiñ kabhī fariyād karte haiñ
batā de ai nazar se duur rah kar rūThne vaale
kisī kī is tarah duniyā-e-dil barbād karte haiñ
marīz-e-hijr kī bālīñ pe tum ik baar aa jaate
tumhāre chāhne vaale tumhīñ ko yaad karte haiñ
zabān-e-be-zabānī kī 'hayāt' ab intihā ye hai
hameñ jis ne bhulā Daalā use ham yaad karte haiñ
zamin ke zarre zarre nala-o-fariyaad karte hain
chale aao dar-o-diwar tum ko yaad karte hain
maza aata hai kuchh un ko hamara dil dukhane mein
kabhi hum nala karte hain kabhi fariyaad karte hain
bata de ai nazar se dur rah kar ruThne wale
kisi ki is tarah duniya-e-dil barbaad karte hain
mariz-e-hijr ki baalin pe tum ek bar aa jate
tumhaare chahne wale tumhin ko yaad karte hain
zaban-e-be-zabani ki 'hayat' ab intiha ye hai
hamein jis ne bhula Dala use hum yaad karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.