zamin ki baat hai dil mein magar ambar nikalta hai
zamīñ kī baat hai dil meñ magar ambar nikaltā hai
sabhī dariyā ke dil meñ āj-kal sāgar nikaltā hai
zabāñ par tyaag kī bāteñ magar paise ke lobhī haiñ
hamārī jeb se kāġhaz qalam aksar nikaltā hai
hamesha dil meñ rahtī hai zamāne bhar kī kaḌvāhaT
magar jab ghar se chaltā hai sadā hañs kar nikaltā hai
yahāñ par aañkh kā dekhā hamesha sach nahīñ hotā
jise patthar samajhte haiñ vo paiġhambar nikaltā hai
koī ġhalatī na kī ham ne magar har vaqt jaane kyoñ
hamāre vāste har haath meñ patthar nikaltā hai
zamin ki baat hai dil mein magar ambar nikalta hai
sabhi dariya ke dil mein aaj-kal sagar nikalta hai
zaban par tyag ki baaten magar paise ke lobhi hain
hamari jeb se kaghaz qalam aksar nikalta hai
hamesha dil mein rahti hai zamane bhar ki kaDwahaT
magar jab ghar se chalta hai sada hans kar nikalta hai
yahan par aankh ka dekha hamesha sach nahin hota
jise patthar samajhte hain wo paighambar nikalta hai
koi ghalati na ki hum ne magar har waqt jaane kyon
hamare waste har hath mein patthar nikalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.