zamin ki kya kahun ki sar pe aasman bhi nahin
zamīñ kī kyā kahūñ ki sar pe āsmān bhī nahīñ
hamārī qismat-e-vafā meñ imtihān bhī nahīñ
uḌe to kis tarah uḌe ye aaj tā.ir-e-nigāh
havā bhī gard gard hai paroñ meñ jaan bhī nahīñ
sunūñ maiñ us kī jhuuT baat aur hañs ke chup rahūñ
ki mere muñh meñ apne vāste zabān bhī nahīñ
qalam uThāo aaj maiñ lahū kā zā.iqa likhūñ
ki ab mire yaqīn meñ zarā gumān bhī nahīñ
yahī vo shaḳhs hai kabhī jo bastiyoñ kā zo.am thā
isī kī dastaras meñ ab koī makān bhī nahīñ
ye jism-o-jāñ kā qāfila thakan se chūr-chūr hai
magar rah-e-hayāt meñ to sā.ebān bhī nahīñ
ubuur kar chuke tamām dasht dasht rāste
magar hamāre azm meñ zarā takān bhī nahīñ
tumhārī baat baat se bhare paḌe haiñ roz-o-shab
sunā.eñ kyā kisī ko mo'atabar bayān bhī nahīñ
zamin ki kya kahun ki sar pe aasman bhi nahin
hamari qismat-e-wafa mein imtihan bhi nahin
uDe to kis tarah uDe ye aaj tair-e-nigah
hawa bhi gard gard hai paron mein jaan bhi nahin
sunun main us ki jhuT baat aur hans ke chup rahun
ki mere munh mein apne waste zaban bhi nahin
qalam uThao aaj main lahu ka zaiqa likhun
ki ab mere yaqin mein zara guman bhi nahin
yahi wo shaKHs hai kabhi jo bastiyon ka zoam tha
isi ki dastaras mein ab koi makan bhi nahin
ye jism-o-jaan ka qafila thakan se chur-chur hai
magar rah-e-hayat mein to saeban bhi nahin
ubur kar chuke tamam dasht dasht raste
magar hamare azm mein zara takan bhi nahin
tumhaari baat baat se bhare paDe hain roz-o-shab
sunaen kya kisi ko mo'atabar bayan bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.