zamin ko sar pe uThae hue na chal ghafil
zamin ko sar pe uThae hue na chal ghafil
Inayatullah Raushan Badauni
MORE BYInayatullah Raushan Badauni
zamīñ ko sar pe uThā.e hue na chal ġhāfil
agar hai hosh to hushiyār ho sañbhal ġhāfil
yahāñ na dil ko masarrat na ruuh ko rāhat
ye ghar ḳharāb hai is se abhī nikal ġhāfil
qazā kisī ko na chhoḌegī shaah ho ki gadā
na tū rahegā na daulat na ye mahal ġhāfil
zarūr dil pe asar ho tirī nasīhat kā
kahe zabāñ se jo ḳhud us pe kar amal ġhāfil
fuzūl umr na kho khel kuud meñ 'raushan'
ye vo matā.a hai jis kā nahīñ badal ġhāfil
zamin ko sar pe uThae hue na chal ghafil
agar hai hosh to hushiyar ho sanbhal ghafil
yahan na dil ko masarrat na ruh ko rahat
ye ghar KHarab hai is se abhi nikal ghafil
qaza kisi ko na chhoDegi shah ho ki gada
na tu rahega na daulat na ye mahal ghafil
zarur dil pe asar ho teri nasihat ka
kahe zaban se jo KHud us pe kar amal ghafil
fuzul umr na kho khel kud mein 'raushan'
ye wo mataa hai jis ka nahin badal ghafil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.