zamīñ madār se apne agar nikal jaa.e
na jaane kaun sā manzar kidhar nikal jaa.e
ab āftāb savā-neze par utarnā hai
girift-e-shab se zarā ye sahar nikal jaa.e
samar girā ke bhī āñdhī kī ḳhū nahīñ badlī
yahī nahīñ ki jaḌoñ se shajar nikal jaa.e
ab itnī zor se har ghar pe dastakeñ denā
agar javāb na aa.e to dar nikal jaa.e
maiñ chal paḌā huuñ to manzil bhī ab milegī 'naved'
ye rāsta mujhe le kar jidhar nikal jaa.e
zamin madar se apne agar nikal jae
na jaane kaun sa manzar kidhar nikal jae
ab aaftab sawa-neze par utarna hai
girift-e-shab se zara ye sahar nikal jae
samar gira ke bhi aandhi ki KHu nahin badli
yahi nahin ki jaDon se shajar nikal jae
ab itni zor se har ghar pe dastaken dena
agar jawab na aae to dar nikal jae
main chal paDa hun to manzil bhi ab milegi 'nawed'
ye rasta mujhe le kar jidhar nikal jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.