zamin maili hai ye aasman maila hai
zamīn mailī hai ye āsmān mailā hai
diloñ ke khoT se saarā jahān mailā hai
mushāvarat se tirī bām-o-dar sañvarte the
jo tū nahīñ hai to saarā makān mailā hai
dil-o-nigāh kī pākīzgī ke sotoñ pe
jamī hai gard so saarā ye gyaan mailā hai
tire ḳhayāl kī dhartī pe paañv rakhte hī
phisal ke TūTne vaalā dhyān mailā hai
vo masnadoñ pe muqaddas lage bahut lekin
qarīb jā.ūñ to mere samān mailā hai
zamin maili hai ye aasman maila hai
dilon ke khoT se sara jahan maila hai
mushawarat se teri baam-o-dar sanwarte the
jo tu nahin hai to sara makan maila hai
dil-o-nigah ki pakizgi ke soton pe
jami hai gard so sara ye gyan maila hai
tere KHayal ki dharti pe panw rakhte hi
phisal ke TuTne wala dhyan maila hai
wo masnadon pe muqaddas lage bahut lekin
qarib jaun to mere saman maila hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.