zamin-o-asman sab ek se hain
zamīn-o-āsmāñ sab ek se haiñ
hamāre mehrbāñ sab ek se haiñ
kise apnā kahīñ kis ko parāyā
jahāñ ham haiñ vahāñ sab ek se haiñ
jahāñ vāloñ ke zāhir par na jaao
ye bātin meñ miyāñ sab ek se haiñ
nahīñ kuchh farq tujh meñ aur mujh meñ
ki ham ahl-e-jahāñ sab ek se haiñ
na kyuuñ sābit ho jurm-e-be-gunāhī
gavāhoñ ke bayāñ sab ek se haiñ
vahī guzrā hai dil kī rahguzar se
ki qadmoñ ke nishāñ sab ek se haiñ
yahāñ ke rahne vaale muḳhtalif haiñ
magar 'ḳhāvar' makāñ sab ek se haiñ
zamin-o-asman sab ek se hain
hamare mehrban sab ek se hain
kise apna kahin kis ko paraya
jahan hum hain wahan sab ek se hain
jahan walon ke zahir par na jao
ye baatin mein miyan sab ek se hain
nahin kuchh farq tujh mein aur mujh mein
ki hum ahl-e-jahan sab ek se hain
na kyun sabit ho jurm-e-be-gunahi
gawahon ke bayan sab ek se hain
wahi guzra hai dil ki rahguzar se
ki qadmon ke nishan sab ek se hain
yahan ke rahne wale muKHtalif hain
magar 'KHawar' makan sab ek se hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.