zamin par aasman kab tak rahega
zamīñ par āsmāñ kab tak rahegā
ye hairat kā makāñ kab tak rahegā
nazar kab āshnā-e-rañg hogī
tamāsha-e-ḳhizāñ kab tak rahegā
rahegī garmi-e-anfās kab tak
ragoñ meñ ḳhuuñ ravāñ kab tak rahegā
haqīqat kab asar-andāz hogī
ḳhasāre meñ jahāñ kab tak rahegā
badal jā.eñge ye din raat 'ajmal'
koī nā-mehrbāñ kab tak rahegā
zamin par aasman kab tak rahega
ye hairat ka makan kab tak rahega
nazar kab aashna-e-rang hogi
tamasha-e-KHizan kab tak rahega
rahegi garmi-e-anfas kab tak
ragon mein KHun rawan kab tak rahega
haqiqat kab asar-andaz hogi
KHasare mein jahan kab tak rahega
badal jaenge ye din raat 'ajmal'
koi na-mehrban kab tak rahega
- Book : Pakistani Adab (Pg. 288)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.