zamin par bas lahu bikhra hamara
zamīñ par bas lahū bikhrā hamārā
abhī bikhrā nahīñ jazba hamārā
hameñ ranjish nahīñ dariyā se koī
salāmat gar rahe sahrā hamārā
milā kar haath sūraj kī kiran se
muḳhālif ho gayā saaya hamārā
raqīb ab vo hamāre haiñ jinhoñne
namak tā-zindagī khāyā hamārā
hai jab tak saath banjāra-mizājī
kahāñ manzil kahāñ rasta hamārā
ta.alluq tark kar ke ho gayā hai
ye rishta aur bhī gahrā hamārā
bahut koshish kī lekin juḌ na paayā
tumhāre naam meñ aadhā hamārā
idhar sab ham ko qātil kah rahe haiñ
udhar ḳhatre meñ thā kunba hamārā
zamin par bas lahu bikhra hamara
abhi bikhra nahin jazba hamara
hamein ranjish nahin dariya se koi
salamat gar rahe sahra hamara
mila kar hath suraj ki kiran se
muKHalif ho gaya saya hamara
raqib ab wo hamare hain jinhonne
namak ta-zindagi khaya hamara
hai jab tak sath banjara-mizaji
kahan manzil kahan rasta hamara
talluq tark kar ke ho gaya hai
ye rishta aur bhi gahra hamara
bahut koshish ki lekin juD na paya
tumhaare nam mein aadha hamara
idhar sab hum ko qatil kah rahe hain
udhar KHatre mein tha kunba hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.