zamin pe jinko hijab-o-haya zaruri hai
zamīñ pe jin ko hijāb-o-hayā zarūrī hai
ġhazab hai un kī hijāb-o-hayā se duurī hai
unhīñ ko miltā hai dar se huzūr-e-ālī ke
laboñ pe jin ke miyāñ aaj jī huzūrī hai
shajar shajar pe chaman meñ ḳhizāñ ke Dere haiñ
na barg-o-gul na kahīñ naġhma-e-tuyūrī hai
shikam jo nān-o-namak ke liye taraste haiñ
na un kī shab hai suhānī na sub.h nuurī hai
duā.eñ māñgne vaalo futūh-o-nusrat kī
duā ke saath amal bhī bahut zarūrī hai
mire rafīq-e-safar tū chalā gayā jab se
tire baġhair mirī zindagī adhūrī hai
anokhī vaz.a hai ma.asūmiyat bhī hai 'rif.at'
batā.eñ kyā ki mizāj un kā lā-shu.ūrī hai
zamin pe jin ko hijab-o-haya zaruri hai
ghazab hai un ki hijab-o-haya se duri hai
unhin ko milta hai dar se huzur-e-ali ke
labon pe jin ke miyan aaj ji huzuri hai
shajar shajar pe chaman mein KHizan ke Dere hain
na barg-o-gul na kahin naghma-e-tuyuri hai
shikam jo nan-o-namak ke liye taraste hain
na un ki shab hai suhani na subh nuri hai
duaen mangne walo futuh-o-nusrat ki
dua ke sath amal bhi bahut zaruri hai
mere rafiq-e-safar tu chala gaya jab se
tere baghair meri zindagi adhuri hai
anokhi waza hai masumiyat bhi hai 'rifat'
bataen kya ki mizaj un ka la-shuuri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.