zamin phir dard ka ye saeban koi nahin dega
zamīñ phir dard kā ye sā.ebāñ koī nahīñ degā
tujhe aisā kushāda āsmāñ koī nahīñ degā
abhī zinda haiñ ham par ḳhatm kar le imtihāñ saare
hamāre baad koī imtihāñ koī nahīñ degā
jo pyāse ho to apne saath rakkho apne bādal bhī
ye duniyā hai virāsat meñ kuaañ koī nahīñ degā
mileñge muft sholoñ kī qabā.eñ bāñTne vaale
magar rahne ko kāġhaz kā makāñ koī nahīñ degā
ḳhud apnā aks bik jaa.e asīr-e-ā.īna ho kar
yahāñ is daam par naam o nishāñ koī nahīñ degā
hamārī zindagī beva dulhan bhīgī huī lakḌī
jaleñge chupke chupke sab dhuāñ koī nahīñ degā
zamin phir dard ka ye saeban koi nahin dega
tujhe aisa kushada aasman koi nahin dega
abhi zinda hain hum par KHatm kar le imtihan sare
hamare baad koi imtihan koi nahin dega
jo pyase ho to apne sath rakkho apne baadal bhi
ye duniya hai wirasat mein kuan koi nahin dega
milenge muft sholon ki qabaen banTne wale
magar rahne ko kaghaz ka makan koi nahin dega
KHud apna aks bik jae asir-e-aina ho kar
yahan is dam par nam o nishan koi nahin dega
hamari zindagi bewa dulhan bhigi hui lakDi
jalenge chupke chupke sab dhuan koi nahin dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.