zamin se ta-ba-falak dhund ki KHudai hai
zamīñ se tā-ba-falak dhund kī ḳhudā.ī hai
havā-e-shahr-e-junūñ kyā payām laa.ī hai
piyā hai zahr bhī āb-e-hayāt bhī lekin
kisī ne tishnagī-e-jism-o-jāñ bujhā.ī hai
ye koī zid hai ki hai rasm-e-āshiqī hī yahī
havā ke ruḳh pe jo sham-e-vafā jalā.ī hai
ye kam nahīñ ki taraf-dār haiñ mire kuchh log
hunar kī varna yahāñ kis ne daad paa.ī hai
musāfirān-e-rah-e-shauq aur tez qadam
ki chand gaam hī ab manzil-e-judā.ī hai
zamin se ta-ba-falak dhund ki KHudai hai
hawa-e-shahr-e-junun kya payam lai hai
piya hai zahr bhi aab-e-hayat bhi lekin
kisi ne tishnagi-e-jism-o-jaan bujhai hai
ye koi zid hai ki hai rasm-e-ashiqi hi yahi
hawa ke ruKH pe jo sham-e-wafa jalai hai
ye kam nahin ki taraf-dar hain mere kuchh log
hunar ki warna yahan kis ne dad pai hai
musafiran-e-rah-e-shauq aur tez qadam
ki chand gam hi ab manzil-e-judai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.