zaminon mein sitare bo raha hun
zamīnoñ meñ sitāre bo rahā huuñ
mujhe hargiz na kahnā ro rahā huuñ
gavāhī deñ samundar chāñd sāhil
akelā huuñ kabhī maiñ do rahā huuñ
use lauTā diyā maiñ ne ye kah kar
abhī jaao abhī maiñ so rahā huuñ
mohabbat kī kahānī bhī ajab hai
jise paayā nahīñ thā kho rahā huuñ
purāne par na.e kuchh zaḳhm khā kar
lahū se maiñ lahū ko dho rahā huuñ
duāoñ ke vasīle se maiñ 'hāshim'
yahāñ kā thā vahāñ kā ho rahā huuñ
zaminon mein sitare bo raha hun
mujhe hargiz na kahna ro raha hun
gawahi den samundar chand sahil
akela hun kabhi main do raha hun
use lauTa diya main ne ye kah kar
abhi jao abhi main so raha hun
mohabbat ki kahani bhi ajab hai
jise paya nahin tha kho raha hun
purane par nae kuchh zaKHm kha kar
lahu se main lahu ko dho raha hun
duaon ke wasile se main 'hashim'
yahan ka tha wahan ka ho raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.