zamir-e-KHak shah-e-do-sara mein raushan hai
zamīr-e-ḳhāk shah-e-do-sarā meñ raushan hai
mirā ḳhudā mire harf-e-duā meñ raushan hai
vo āñdhiyāñ thiiñ ki maiñ kab kā bujh gayā hotā
charāġh-e-zāt bhī hamd-o-sanā meñ raushan hai
maiñ apnī maañ ke vasīle se zinda-tar Thahrūñ
ki vo lahū mire sabr-o-razā meñ raushan hai
maiñ baḌh rahā huuñ udhar yā vo aa rahā hai idhar
vahī ḳhushī vahī ḳhushbū havā meñ raushan hai
kahīñ bhī jā.ūñ sitāra sā saath rahtā hai
vo shab-charāġh jo us kī havā meñ raushan hai
zamir-e-KHak shah-e-do-sara mein raushan hai
mera KHuda mere harf-e-dua mein raushan hai
wo aandhiyan thin ki main kab ka bujh gaya hota
charagh-e-zat bhi hamd-o-sana mein raushan hai
main apni man ke wasile se zinda-tar Thahrun
ki wo lahu mere sabr-o-raza mein raushan hai
main baDh raha hun udhar ya wo aa raha hai idhar
wahi KHushi wahi KHushbu hawa mein raushan hai
kahin bhi jaun sitara sa sath rahta hai
wo shab-charagh jo us ki hawa mein raushan hai
- Book : Imkaan-e-roz-o-shab (Pg. 86)
- Author : Syed Abul Hasnat Haqqi
- Publication : Educational Publishing House (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.