zamir-e-lala mai-e-lal se hua labrez
Interesting Fact
Baal-e-Gibril
zamīr-e-lāla mai-e-lāl se huā labrez
ishāra paate hī suufī ne toḌ dī parhez
bichhā.ī hai jo kahīñ ishq ne bisāt apnī
kiyā hai us ne faqīroñ ko vāris-e-parvez
purāne haiñ ye sitāre falak bhī farsūda
jahāñ vo chāhiye mujh ko ki ho abhī nau-ḳhez
kise ḳhabar hai ki hañgāma-e-nashūr hai kyā
tirī nigāh kī gardish hai merī rustā-ḳhez
na chhīn lazzat-e-āh-e-sahar-gahī mujh se
na kar nigah se taġhāful ko iltifāt aamez
dil-e-ġhamīñ ke muāfiq nahīñ hai mausam-e-gul
sadā-e-murġh-e-chaman hai bahut nashāt añgez
hadīs-e-be-ḳhabarāñ hai tū bā zamāna ba-sāz
zamāna bā to na sāzad tū bā zamāna satez
zamir-e-lala mai-e-lal se hua labrez
ishaara pate hi sufi ne toD di parhez
bichhai hai jo kahin ishq ne bisat apni
kiya hai us ne faqiron ko waris-e-parwez
purane hain ye sitare falak bhi farsuda
jahan wo chahiye mujh ko ki ho abhi nau-KHez
kise KHabar hai ki hangama-e-nashur hai kya
teri nigah ki gardish hai meri rusta-KHez
na chhin lazzat-e-ah-e-sahar-gahi mujh se
na kar nigah se taghaful ko iltifat aamez
dil-e-ghamin ke muafiq nahin hai mausam-e-gul
sada-e-murgh-e-chaman hai bahut nashat angez
hadis-e-be-KHabaran hai tu ba zamana ba-saz
zamana ba to na sazad tu ba zamana satez
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.