zamzama nala-e-bulbul Thahre
zamzama nāla-e-bulbul Thahre
maiñ jo fariyād karūñ ġhul Thahre
naġhma-e-kun ke karishme dekho
kahīñ qum qum kahīñ qulqul Thahre
jaal meñ kātib-e-āmāl phañseñ
dosh par aa ke jo kākul Thahre
raat din rahtī hai gardish un ko
chāñd sūraj qadah-e-mul Thahre
merā kahnā tirā sunñā ma.alūm
jumbish-e-lab hī agar gul Thahre
jaan kar bhī vo na jāneñ mujh ko
ārifāna hī tajāhul Thahre
āshiqī meñ ye tanazzul kaisā
aap ham kyuuñ gul-o-bulbul Thahre
tujh pe khul jaa.e jo rāz-e-hama-ūst
falsafī duur o tasalsul Thahre
aañkh se aañkh meñ paiġhām aa.e
gar nigāhoñ kā tavassul Thahre
khul ga.ī be-hamagī bā-hamagī
kul maiñ jab mahv hue kul Thahre
dil se dil baat kare aañkh se aañkh
āshiqī kā jo tavassul Thahre
kyuuñ na firdaus meñ jaa.e 'mā.il'
jab mohammad kā tavassul Thahre
zamzama nala-e-bulbul Thahre
main jo fariyaad karun ghul Thahre
naghma-e-kun ke karishme dekho
kahin qum qum kahin qulqul Thahre
jal mein katib-e-amal phansen
dosh par aa ke jo kakul Thahre
raat din rahti hai gardish un ko
chand suraj qadah-e-mul Thahre
mera kahna tera sunna malum
jumbish-e-lab hi agar gul Thahre
jaan kar bhi wo na jaanen mujh ko
aarifana hi tajahul Thahre
aashiqi mein ye tanazzul kaisa
aap hum kyun gul-o-bulbul Thahre
tujh pe khul jae jo raaz-e-hama-ust
falsafi dur o tasalsul Thahre
aankh se aankh mein paigham aae
gar nigahon ka tawassul Thahre
khul gai be-hamagi ba-hamagi
kul main jab mahw hue kul Thahre
dil se dil baat kare aankh se aankh
aashiqi ka jo tawassul Thahre
kyun na firdaus mein jae 'mail'
jab mohammad ka tawassul Thahre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.