zar ki taqat se kya nahin hota
zar kī tāqat se kyā nahīñ hotā
sirf banda ḳhudā nahīñ hotā
laakh dīvāreñ aap uThā diije
ḳhuun ḳhuuñ se judā nahīñ hotā
sar-ba-sajda qadam qadam lekin
haq ye hai haq adā nahīñ hotā
gumrahī meñ bhaTaktī rahtī jabīñ
gar tirā naqsh-e-pā nahīñ hotā
jumbish-e-lab se kuchh nahīñ hāsil
jumbish-e-pā se kyā nahīñ hotā
sāz-e-dil chuur chuur ho kar bhī
hai sifat be-sadā nahīñ hotā
vāqif-e-ramz-e-bandagī 'naġhmī'
zāhid-e-pārsā nahīñ hotā
zar ki taqat se kya nahin hota
sirf banda KHuda nahin hota
lakh diwaren aap uTha dije
KHun KHun se juda nahin hota
sar-ba-sajda qadam qadam lekin
haq ye hai haq ada nahin hota
gumrahi mein bhaTakti rahti jabin
gar tera naqsh-e-pa nahin hota
jumbish-e-lab se kuchh nahin hasil
jumbish-e-pa se kya nahin hota
saz-e-dil chur chur ho kar bhi
hai sifat be-sada nahin hota
waqif-e-ramz-e-bandagi 'naghmi'
zahid-e-parsa nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.