zar-parasti hayat ho jae
zar-parastī hayāt ho jaa.e
is se behtar vafāt ho jaa.e
phir maiñ duniyā meñ ghuum saktā huuñ
jism se gar najāt ho jaa.e
mahvar-e-ishq se zarā sā haTe
muntashir kā.enāt ho jaa.e
dil kisī khel meñ nahīñ lagtā
jab mohabbat meñ maat ho jaa.e
ek devī kī aañkh aise lagī
jaise mandir meñ raat ho jaa.e
kitne bīmār-e-ishq bach jaa.eñ
husn par gar zakāt ho jaa.e
but-shikan kyā bigāḌ saktā hai
dil agar somnāt ho jaa.e
aap dil chor ho ham ahl-e-dil
vaqt do vārdāt ho jaa.e
aañkh paḌhnā jise bhī aa jaa.e
māhir-e-nafsiyāt ho jaa.e
aks-e-lailā se 'qais' baat to kar
ain mumkin hai baat ho jaa.e
zar-parasti hayat ho jae
is se behtar wafat ho jae
phir main duniya mein ghum sakta hun
jism se gar najat ho jae
mahwar-e-ishq se zara sa haTe
muntashir kaenat ho jae
dil kisi khel mein nahin lagta
jab mohabbat mein mat ho jae
ek dewi ki aankh aise lagi
jaise mandir mein raat ho jae
kitne bimar-e-ishq bach jaen
husn par gar zakat ho jae
but-shikan kya bigaD sakta hai
dil agar somnat ho jae
aap dil chor ho hum ahl-e-dil
waqt do wardat ho jae
aankh paDhna jise bhi aa jae
mahir-e-nafsiyat ho jae
aks-e-laila se 'qais' baat to kar
ain mumkin hai baat ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.