zara barish barasti hai shagufe jag uThte hain
zarā bārish barastī hai shagūfe jaag uThte haiñ
ka.ī rañgoñ kī ḳhushbū se darīche jaag uThte haiñ
abhī tak paañv kī aahaT se yā miTTī shanāsā hai
tumhāre saath chaltī huuñ to raste jaag uThte haiñ
kuchh aise raushnī dil meñ utartī hai qarīne se
bahut imkāñ tire va.adoñ ke sadqe jaag uThte haiñ
kabhī aise bhī hotā hai yūñhī baiThe biThā.e hī
mirī āñkhoñ meñ dariyāoñ ke dhāre jaag uThte haiñ
'samīna' maiñ to lafzoñ ko faqat likhtī huuñ kāġhaz par
to phir lafzoñ meñ ye kaise sharāre jaag uThte haiñ
zara barish barasti hai shagufe jag uThte hain
kai rangon ki KHushbu se dariche jag uThte hain
abhi tak panw ki aahaT se ya miTTi shanasa hai
tumhaare sath chalti hun to raste jag uThte hain
kuchh aise raushni dil mein utarti hai qarine se
bahut imkan tere wadon ke sadqe jag uThte hain
kabhi aise bhi hota hai yunhi baiThe biThae hi
meri aankhon mein dariyaon ke dhaare jag uThte hain
'samina' main to lafzon ko faqat likhti hun kaghaz par
to phir lafzon mein ye kaise sharare jag uThte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.