zara dam le ki puri hasraten barq-e-tapan kar lun
zarā dam le ki puurī hasrateñ barq-e-tapāñ kar luuñ
nisār-e-āshiyāñ ho luuñ tavāf-e-āshiyāñ kar luuñ
tahayya hai ki sharh-e-hālat-e-soz-e-nihāñ kar luuñ
sharīk-e-ġham tujhe ab rāz-e-dil kā tarjumāñ kar luuñ
na ho betāb-e-jalva is qadar ai shauq-e-nazzāra
munāsib hai abhī zarf-e-nazar kā imtihāñ kar luuñ
zara dam le ki puri hasraten barq-e-tapan kar lun
nisar-e-ashiyan ho lun tawaf-e-ashiyan kar lun
tahayya hai ki sharh-e-haalat-e-soz-e-nihan kar lun
sharik-e-gham tujhe ab raaz-e-dil ka tarjuman kar lun
na ho betab-e-jalwa is qadar ai shauq-e-nazzara
munasib hai abhi zarf-e-nazar ka imtihan kar lun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.