zara dekhiye qibla chilman ulaT
zarā dekhiye qibla chilman ulaT
haiñ mushtāq dar par khaḌe ThaT ke ThaT
lagā.ī jo bose kī mirzā ne raT
kahā baajī ne dut na muue duur haT
balā se kisī ko karo chit ki paT
dilā do mujhe lakhna.ū kā ticket
kahīñ shab jo dul.han se khaTpaT huī
khaTā-khaT mue ne diye toḌ paT
bajātā hai Dholak muā rāt-bhar
ye bhaḌvā koī bhāñD hai yā ki naT
kareñ gar tavā.if se saT-paT miyāñ
kachahrī meñ jā kar maiñ bolūñ rapaT
maiñ kaT-kaT ga.ī begamoñ meñ buā
vo piite hī ġhaT-ġhaT ga.e jo lipaT
taraqqī ho imsāl dūlhā kī phir
riyāsat kā gar de ijāzat budget
hai sher-e-ḳhudā kā jo āñkhoñ meñ nuur
palak maar kar sher ko de palaT
chhināloñ kī jackeT meñ pocket lageñ
yahāñ ro.eñ kurtī ko gar jaa.e phaT
ye karvaT kī aahaT balā hai buā
chhapar-khaT pe karte haiñ kāyā-palaT
saTāsaT vo maarā kareñ jaan jaa.e
mirī bhī ye zid hai na chhoḌūñgī haT
vo bhaḌvā sar-e-bazm kaT-kaT gayā
rakhā 'anqā' begam se jis ne kapaT
zara dekhiye qibla chilman ulaT
hain mushtaq dar par khaDe ThaT ke ThaT
lagai jo bose ki mirza ne raT
kaha baji ne dut na mue dur haT
bala se kisi ko karo chit ki paT
dila do mujhe lakhnau ka ticket
kahin shab jo dulhan se khaTpaT hui
khaTa-khaT mue ne diye toD paT
bajata hai Dholak mua raat-bhar
ye bhaDwa koi bhanD hai ya ki naT
karen gar tawaif se saT-paT miyan
kachahri mein ja kar main bolun rapaT
main kaT-kaT gai begamon mein bua
wo pite hi ghaT-ghaT gae jo lipaT
taraqqi ho imsal dulha ki phir
riyasat ka gar de ijazat budget
hai sher-e-KHuda ka jo aankhon mein nur
palak mar kar sher ko de palaT
chhinalon ki jackeT mein pocket lagen
yahan roen kurti ko gar jae phaT
ye karwaT ki aahaT bala hai bua
chhapar-khaT pe karte hain kaya-palaT
saTasaT wo mara karen jaan jae
meri bhi ye zid hai na chhoDungi haT
wo bhaDwa sar-e-bazm kaT-kaT gaya
rakha 'anqa' begam se jis ne kapaT
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.