zara gham-zadon ke bhi gham-KHwar rahna
zarā ġham-zadoñ ke bhī ġham-ḳhvār rahnā
kareñ naaz to nāz-bardār rahnā
farāḳhī-o-usrat meñ shādī-o-ġham meñ
bahar-hāl yāroñ ke tum yaar rahnā
samajh nardbāñ apnī nākāmiyoñ ko
ki hai shart-e-himmat talabgār rahnā
karo shukr hai ye ināyat ḳhudā kī
balāoñ meñ aksar giraftār rahnā
agar aadmī ko na ho mashġhala kuchh
bahisht-e-barīñ meñ ho dushvār rahnā
ḳhabar bhī hai aadam se jannat chhuTTī kyuuñ
ḳhilāf-e-jibillat thā be-kār rahnā
samajhte haiñ sheroñ ko bhī narm chāra
ġhazālān-e-shahrī se hoshyār rahnā
zara gham-zadon ke bhi gham-KHwar rahna
karen naz to naz-bardar rahna
faraKHi-o-usrat mein shadi-o-gham mein
bahar-haal yaron ke tum yar rahna
samajh nardban apni nakaamiyon ko
ki hai shart-e-himmat talabgar rahna
karo shukr hai ye inayat KHuda ki
balaon mein aksar giraftar rahna
agar aadmi ko na ho mashghala kuchh
bahisht-e-barin mein ho dushwar rahna
KHabar bhi hai aadam se jannat chhuTTi kyun
KHilaf-e-jibillat tha be-kar rahna
samajhte hain sheron ko bhi narm chaara
ghazalan-e-shahri se hoshyar rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.