zara ishaara hua aasman ke andar se
zarā ishāra huā āsmāñ ke andar se
duā pahuñch bhī ga.ī ḳhāk-dāñ ke andar se
kahānī phail rahī hai usī ke chāroñ taraf
nikālnā thā jise dāstāñ ke andar se
mujhe paḌāv meñ ḳhatra safar se baḌh kar hai
ki rāhzan hai mire kārvāñ ke andar se
tū mujh meñ aa ke makīñ ho gayā to har aaseb
nikal gayā hai mire jism-o-jāñ ke andar se
maiñ sirf dekhne aayā huuñ raunaq-e-bāzār
ġharaz nahīñ hai kisī bhī dukāñ ke andar se
na.e sire se banānā paḌā hai ab ḳhud ko
talāsh kar ke mujhe rā.egāñ ke andar se
tire ḳhilāf gavāhī jo ban ga.e haiñ vo lafz
liye ga.e haiñ tire hī bayāñ ke andar se
maiñ darmiyāñ huuñ alaav ke aur mirī āvāz
to sun rahā hai usī darmiyāñ ke andar se
lagā rahā tū kisī din kashīd kar lūñgā
na.ī zabān purānī zabāñ ke andar se
abhī to ye dar-o-dīvār jānte haiñ mujhe
abhī to maiñ nahīñ niklā makāñ ke andar se
'zahīr' paar utarne kā faisla jo kiyā
kināra mil gayā āb-e-ravāñ ke andar se
zara ishaara hua aasman ke andar se
dua pahunch bhi gai KHak-dan ke andar se
kahani phail rahi hai usi ke chaaron taraf
nikalna tha jise dastan ke andar se
mujhe paDaw mein KHatra safar se baDh kar hai
ki rahzan hai mere karwan ke andar se
tu mujh mein aa ke makin ho gaya to har aaseb
nikal gaya hai mere jism-o-jaan ke andar se
main sirf dekhne aaya hun raunaq-e-bazar
gharaz nahin hai kisi bhi dukan ke andar se
nae sire se banana paDa hai ab KHud ko
talash kar ke mujhe raegan ke andar se
tere KHilaf gawahi jo ban gae hain wo lafz
liye gae hain tere hi bayan ke andar se
main darmiyan hun alaw ke aur meri aawaz
to sun raha hai usi darmiyan ke andar se
laga raha tu kisi din kashid kar lunga
nai zaban purani zaban ke andar se
abhi to ye dar-o-diwar jaante hain mujhe
abhi to main nahin nikla makan ke andar se
'zahir' par utarne ka faisla jo kiya
kinara mil gaya aab-e-rawan ke andar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.