zara lau charagh ki kam karo mera dukh hai phir se utar par
zara lau charagh ki kam karo mera dukh hai phir se utar par
Vikas Sharma Raaz
MORE BYVikas Sharma Raaz
zarā lau charāġh kī kam karo mirā dukh hai phir se utaar par
jise sun ke ashk chhalak paḌeñ vahī dhun bajāo sitār par
zarā hairatoñ se nikal to luuñ zarā hosh aa.e to kuchh kahūñ
abhī kuchh na pūchh ki kyā huā mirā dhyān abhī hai ġhubār par
kahīñ harf harf gulāb hai kahīñ ḳhushbuoñ se ḳhitāb hai
maiñ ḳhizāñ-nasīb sahī magar mirā tabsira hai bahār par
mire dost tujh ko hai kyā patā tujhe de rahe haiñ jo mashvara
yahī log jashn manāeñge mirī jiit par tirī haar par
jahāñ har siñgār fuzūl hoñ jahāñ ugte sirf babūl hoñ
jahāñ zard rañg ho ghaas kā vahāñ kyuuñ na shak ho bahār par
zara lau charagh ki kam karo mera dukh hai phir se utar par
jise sun ke ashk chhalak paDen wahi dhun bajao sitar par
zara hairaton se nikal to lun zara hosh aae to kuchh kahun
abhi kuchh na puchh ki kya hua mera dhyan abhi hai ghubar par
kahin harf harf gulab hai kahin KHushbuon se KHitab hai
main KHizan-nasib sahi magar mera tabsira hai bahaar par
mere dost tujh ko hai kya pata tujhe de rahe hain jo mashwara
yahi log jashn manaenge meri jit par teri haar par
jahan har singar fuzul hon jahan ugte sirf babul hon
jahan zard rang ho ghas ka wahan kyun na shak ho bahaar par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.