zara mushkil hai lekin phir bhi aksar dekh leta hun
zarā mushkil hai lekin phir bhī aksar dekh letā huuñ
tirī āñkhoñ meñ vo simTā samundar dekh letā huuñ
takabbur jab kabhī hotā hai mujh ko is amīrī par
shahr se duur jā kar koī khanDar dekh letā huuñ
maiñ baḌh jaatā huuñ terī samt sab kuchh bhuul kar lekin
tire hoñToñ meñ phir se koī ḳhanjar dekh letā huuñ
nazar phir kyoñ nahīñ aatā use ye zaḳhm-e-dil merā
kiyā kartā hai da.avā dil ke andar dekh letā huuñ
ajab vaqt-e-judā.ī hai kisī kā bas nahīñ chaltā
vo darvāze pe aatī hai maiñ muḌ kar dekh letā huuñ
ye aadat hai merī rusvā mujhe hone nahīñ detī
maiñ phailātā huuñ jab bhī pair chādar dekh letā huuñ
sunā hai manzileñ miltī haiñ mushkil se mohabbat kī
'samar' us raah bhī ik baar chal kar dekh letā huuñ
zara mushkil hai lekin phir bhi aksar dekh leta hun
teri aankhon mein wo simTa samundar dekh leta hun
takabbur jab kabhi hota hai mujh ko is amiri par
shahr se dur ja kar koi khanDar dekh leta hun
main baDh jata hun teri samt sab kuchh bhul kar lekin
tere honTon mein phir se koi KHanjar dekh leta hun
nazar phir kyon nahin aata use ye zaKHm-e-dil mera
kiya karta hai dawa dil ke andar dekh leta hun
ajab waqt-e-judai hai kisi ka bas nahin chalta
wo darwaze pe aati hai main muD kar dekh leta hun
ye aadat hai meri ruswa mujhe hone nahin deti
main phailata hun jab bhi pair chadar dekh leta hun
suna hai manzilen milti hain mushkil se mohabbat ki
'samar' us rah bhi ek bar chal kar dekh leta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.