zara na hum pe kiya eatibar guzri hai
zarā na ham pe kiyā e.atibār guzrī hai
ye ruuh jism se begāna-vār guzrī hai
hameñ gumāñ bhī na thā un kī tab-e-nāzuk par
zarā sī baat satā.ish kī baar guzrī hai
ḳhirad ke zor se himmat ke bāl-o-par le kar
kahāñ kahāñ se ye musht-e-ġhubār guzrī hai
kaTegā kaise ye vīrān be-sahārā din
abhī to sirf shab-e-intizār guzrī hai
badūn-e-zaḳhm na ro.eñge paañv ke chhāle
bahe sarishk jahāñ nok-e-ḳhār guzrī hai
kahāñ hai aariz ḳhurshīd-e-nīm-roze ki umr
miyān-e-kākul-e-shab-hā-e-tār guzrī hai
chhupā laboñ pe tabassum ayaañ jabīñ pe shikan
hañsī kī baat unheñ nāgavār guzrī hai
ga.ī jidhar se vo mad.hosh ho ga.ī mahfil
magar vo shoḳh nazar hoshiyār guzrī hai
aqab meñ apne chhupā.e hazār-hā paikāñ
nazar ke sāmne mizhgān-e-yār guzrī hai
hujūm-e-shauq ke hāthoñ gale pe 'hāmid' ke
na pūchhiye jo dam-e-iḳhtisār guzrī hai
zara na hum pe kiya eatibar guzri hai
ye ruh jism se begana-war guzri hai
hamein guman bhi na tha un ki tab-e-nazuk par
zara si baat sataish ki bar guzri hai
KHirad ke zor se himmat ke baal-o-par le kar
kahan kahan se ye musht-e-ghubar guzri hai
kaTega kaise ye viran be-sahaara din
abhi to sirf shab-e-intizar guzri hai
badun-e-zaKHm na roenge panw ke chhaale
bahe sarishk jahan nok-e-KHar guzri hai
kahan hai aariz KHurshid-e-nim-roze ki umr
miyan-e-kakul-e-shab-ha-e-tar guzri hai
chhupa labon pe tabassum ayan jabin pe shikan
hansi ki baat unhen nagawar guzri hai
gai jidhar se wo madhosh ho gai mahfil
magar wo shoKH nazar hoshiyar guzri hai
aqab mein apne chhupae hazar-ha paikan
nazar ke samne mizhgan-e-yar guzri hai
hujum-e-shauq ke hathon gale pe 'hamid' ke
na puchhiye jo dam-e-iKHtisar guzri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.