zara sa aadmi hun
zarā sā aadmī huuñ
balā kā aadmī huuñ
kahā na aadmī huuñ
sunā kyā aadmī huuñ
kahāñ kā aadmī huuñ
maiñ dikhtā aadmī huuñ
tire hī fazl se maiñ
ḳhudāyā aadmī huuñ
na zinda huuñ na murda
Darā sā aadmī huuñ
ḳhudā vaale to tum ho
maiñ sīdhā aadmī huuñ
nihāyat kam huuñ insāñ
ziyāda aadmī huuñ
zabāñ kirdār kuchh hai
maiñ kaisā aadmī huuñ
ye do hī sūrateñ haiñ
ḳhudā yā aadmī huuñ
kabhī mil kar to dekho
maiñ achchhā aadmī huuñ
magar bā-hosh milnā
maiñ zinda aadmī huuñ
sivā.e sabr 'āsī'
karūñ kyā aadmī huuñ
zara sa aadmi hun
bala ka aadmi hun
kaha na aadmi hun
suna kya aadmi hun
kahan ka aadmi hun
main dikhta aadmi hun
tere hi fazl se main
KHudaya aadmi hun
na zinda hun na murda
Dara sa aadmi hun
KHuda wale to tum ho
main sidha aadmi hun
nihayat kam hun insan
ziyaada aadmi hun
zaban kirdar kuchh hai
main kaisa aadmi hun
ye do hi suraten hain
KHuda ya aadmi hun
kabhi mil kar to dekho
main achchha aadmi hun
magar ba-hosh milna
main zinda aadmi hun
siwae sabr 'asi'
karun kya aadmi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.