zara sa waqt kahin be-sabab guzarte hain
zarā sā vaqt kahīñ be-sabab guzārte haiñ
chalo ye shaam sar-e-jū-e-lab guzārte haiñ
tū ik charāġh-e-jahān-e-digar hai kyā jaane
ham is zamīn pe kis tarah shab guzārte haiñ
hamārā ishq hī kyā hai guzārne vaale
yahāñ to nazr meñ naam o nasab guzārte haiñ
ḳhirāj maañg rahī hai vo shāh-bānu-e-shahr
so ham bhī hadiya-e-dast-e-talab guzārte haiñ
sunā to hogā ki jañgal meñ mor nāchtā hai
ham is ḳharābe meñ fasl-e-tarab guzārte haiñ
zara sa waqt kahin be-sabab guzarte hain
chalo ye sham sar-e-ju-e-lab guzarte hain
tu ek charagh-e-jahan-e-digar hai kya jaane
hum is zamin pe kis tarah shab guzarte hain
hamara ishq hi kya hai guzarne wale
yahan to nazr mein nam o nasab guzarte hain
KHiraj mang rahi hai wo shah-banu-e-shahr
so hum bhi hadiya-e-dast-e-talab guzarte hain
suna to hoga ki jangal mein mor nachta hai
hum is KHarabe mein fasl-e-tarab guzarte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.