zara se nur par itra rahe hain
zarā se nuur par itrā rahe haiñ
ye jugnū chāñd se Takrā rahe haiñ
vo jis kī aañkh se Darte the bachche
usī ko aañkh ab dikhlā rahe haiñ
baneñge vo nivāla dhuup kā ab
shajar phaldār jo kaTvā rahe haiñ
rahā tā-'umr jo ban kar masīhā
use suulī pe sab laTkā rahe haiñ
bahut dilkash hai ye duniyā magar ham
tirī ḳhātir ise Thukrā rahe haiñ
zara se nur par itra rahe hain
ye jugnu chand se Takra rahe hain
wo jis ki aankh se Darte the bachche
usi ko aankh ab dikhla rahe hain
banenge wo niwala dhup ka ab
shajar phaldar jo kaTwa rahe hain
raha ta-'umr jo ban kar masiha
use suli pe sab laTka rahe hain
bahut dilkash hai ye duniya magar hum
teri KHatir ise Thukra rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.