zara si baat ho kya kya sawal karta hai
zarā sī baat ho kyā kyā savāl kartā hai
mirā hunar mujhe aksar niDhāl kartā hai
vo chaaT letā hai dīmak kī tarah mustaqbil
tumheñ pata nahīñ maazī jo haal kartā hai
mire vajūd ko sadiyoñ kā silsila de kar
vo kaun hai jo mujhe lā-zavāl kartā hai
baḌe qarīb se ho kar guzar ga.ī duniyā
milā na us se mirā dil kamāl kartā hai
maiñ chāhtā huuñ marāsim bas ek samt chaleñ
magar vo ḳhud hī junūb-o-shumāl kartā hai
duā kā dar to sabhī ke liye khulā hai magar
jise yaqīn ho is par savāl kartā hai
zara si baat ho kya kya sawal karta hai
mera hunar mujhe aksar niDhaal karta hai
wo chaT leta hai dimak ki tarah mustaqbil
tumhein pata nahin mazi jo haal karta hai
mere wajud ko sadiyon ka silsila de kar
wo kaun hai jo mujhe la-zawal karta hai
baDe qarib se ho kar guzar gai duniya
mila na us se mera dil kamal karta hai
main chahta hun marasim bas ek samt chalen
magar wo KHud hi junub-o-shumal karta hai
dua ka dar to sabhi ke liye khula hai magar
jise yaqin ho is par sawal karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.